Sote waqt discharge dekhna

Q: Jab sote he to hume koi khwaab aajaye to uske liye ghusal karna chahiye. Jab hum sone ke liye aanke band karti he tab thori thori neend aani shuroo hoti he tab hum poori tarah soye huwe nahi hote aise me agar khuch ghalat cheeze ya manzar dikhne laga to kya ye ihtilam hoga jabke us doraan hamaara dimaag jaaga hota he hume ye pata hota he ke sharmgaah me koi harkat nahi ho rahi aur nahi dil ki dharkan tez he jo ke ihtilaam ki ya mazi me khaarij hone ki nishaani he. Aisa sirf neend ki shuruaat me hota he jab kachchi neend hoti he lekin dimaag ko pata hota he ke jism me koi harkat nahi ho rahi he jaise mani ya mazi khaarij hone par hota he. Mujhe issi wajah se har roz ghusal karna parta he kyunke mujhe aam towar par hone wala safed discharge bhi hota hai.

A: Ghusal waajib nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)