Haraam kaam ke lia Qur'an Shareef par haat rakhna

Q: Hazrat agar koi larki Qur'an paak par hath rakh kar kisi ghair mehram ko ye khay ka me sirf tum sa payaar karti hoo, to us ka nikaah par koi asar ho ga is ka ya nahi?

A: Ye bohot bara gunaah he ke haraam kaam kar rahi he owr apne haat ku Qur'an paak par rakh kar gunaah kar rahi he. Us se chaahia ke Allah Ta'ala se tawbah kare owr azam kare ke aainda aiysa gunaah nahi karegi. Issy tarah us na mahram se taalluq ne rakhe owr baat ne kare. Agarche ye bohot bara gunaah he, lekin us ka nikaah nahi tootgaya.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)