Sunnat-e-muakkadah aur Sunnat-e-ghair muakkadah me farq

Q: Masla ye he ke sunnat-e-muakkadah owr sunnat-e-ghair muakkadah me koi faraq he ya nahi? Kuch saathi kehte he ke sunnat-e-muakkadah yani zuhr ki chaar sunnat me do rakat ke darmiyaan jab qa'da karte he to attahiyyaat sirf parhenge aur sunnat-e-ghair muakkadah yani esha ya asr ki chaar sunnat, us me do rakaat ke darmiyaan me attahiyyaat ke saat durood shareef bhi parhenge. Is ki wazaahat karde. Agar koi aur farq bhi ho to bata dijiey.

A: Sunnat-e-muakkadah ko agar koi chor dega to qaabil-e-malaamat hoga aur ghair muakkadah usko nafl bhi kehte he. Ne karne se koi itaab wa ghayrah nahi.

Ye bhi durust he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)