Ihtilaam

Q: Mera sawaal he ke me soyi huwi thi to mujay jinsi khwaab aaya meri aankh khul gayi lekin me ne rutoobat mahsoos nahi ki aur dobaara so gayi jab dobaara meri aankh khuli to me ne rutoobat mahsoos ki mujay khwaab yaad nahi tha. Me is rutoobat ko mamool ka discharj samjhi kyunke me safed dischaarj ki mareez hu to me ne is ko mamool ka discharj sumajte huwe asr ki namaaz ada kar lekin jaise hi me namaz se faarig huwi muje khwaab yaad aagaya baqi ki namaze me ne ghusal kar ke ada ki. Baraaye meherbaani mujay bataye jo me ne baghair ghusal namaaz adaa ki is se muje gunaah to nahi ho ga aur is ka asr mere imaan owr nikaah par to nahi ho ga aur is ka kuffaara kya he. Allah aap ko jaza-e-khair de.

A: Agar aap ne koi khwaab nahi dekha owr jo rutoobat aap ne dekha, wo discharge wala he, to ghusal waajib nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels: