Business me jhoot bholne se ziada paise milna

Q: Mera sawal ye hy k apnay business main apni country ghalat batanay se kia rozi haram hogi.. ya gunah hoga? kitna..? Is ghalat btanay se kisi ko nuqsan b nai hoga, na hi hm kisi ko dhoka detay hain... bs hmary pas log wo ayen gay jo ziada paisay detay hain...

In detail:

Main aik freelancer hon. Website designing or graphic designing krta hon. Online hamary mukhtalif mulkon k clients atay hain. Pakistan ki market buht down ho chuki hay... Uski do main wajoohat hain.

1. Logon ko kam nai ata pr lalach main kehtay hain k hmain ata hy or clients ki websites main cheezain khrab kr detay hain. Is wajah se bahr k logon ka Pakistanio pr trust nai hay...

2. Yahan k kch log jin k pas clients thoray atay hain wo ziada kaam buht km paison main kr daitay hain...

Ab mera aik dost hay, hm ikathay kam krty hain... or mujhay us se ziada kaam ata hay... main uska teacher hon is kaam main, jo kam wo nai kr skta wo usay main kr k deta hon... us ki profile UK ki bni hui hy. Wahan pr jo log atay hain, wo paisay ziada detay hain. Meri profile Pakistan ki hay. Meray pas wohi log atay jo paisay buht kam daina chahtay hon. Q k USA, UK k freelancers ziada paisay laitay hain, is lye wo Pakistanio se buht km paisay main kam karanay atay hain. Jo ziada paison wala client hota hy, wo Pakistanio pr aitbaar hi nai krta... Ab halan k mjhy apnay dost se ziada kaam ata hy, pr uski kamai meray say 4 guna ziada hay... Ab is soorat me main kia kron..? Q k meray mulk ghalat batanay se client ka koi nuqsan to nai hoga.. Ab ye rozi haram hy? ya sirf gunah hy... kitna gunah hay..?

A: Is tarah karne se jhoot hogi. Albatta jo apni kamaai hogi woh haraam nahi hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)