Showhar mera tujhse taalluk khatam kehna

Q: Mera sawal hay k meray miya nay kenaya alfaz istemal kia tha k mera tujhse taluk khatam apni maa k ghar ja pr unhon nay talak ki neyat say nai kaha tha yeh bat maine ek alima say puchi usne kaha hogai talak neyat ho na ho ab yeh bat batarahi thee may apne husband ko k wo alima aisa kahti hay k neyat ho na ho ho jati hay taluk khatam kahnay say talak ( halankay aisa nahi tha us alima nay ghalat bataya tha bad may usne bhi kaha nahi hoti) to yeh zikar kr rahi thee may husband sy k wo alima kahrahi hojati hay to meray shohar nay kaha jaw phir jaw maine kaha kia matlab to kahtay tumhay tapa raha hu (mtlab cherna) aisa do bar kaha to kia talak hogai??? Pr talak ki koi neyat nahi thee... pls jawab deden zehni marez na banjaon mujhay buhat waswasay hain...

A: Agar shohar ki niyyat talaaq dene ki thi to talaaq baain hogayi, tajdeed-e-nikaah ki dharoorat he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: 
Labels: