Khud shaadi ka intizaam karna

Q: Meri umer 29 saal hai aur mere abbu meri shadi nahi karwa rahey hain kio ke meri badi behen ki shadi nahi hui hai. Uski wajah se meri shaadi bhi nahi ki ja rahi hai aur baaqi ghar k kuch afraad rukawat ban rahy hain. Main pichley 17 saal se akela reh raha hun. Ab mujh se bager shadi k rehna mushkil hai. Aesi soorat main Islam kia kehta hai? Aur agar main kisi galat raah per chal padta hun to uska gunaah kis ko hoga? Waazeh rahay ke main pichley 5 saal se shaadi ka zikar kar raha hun.

A: Jab tu ne shaadi ki dharoorat bataadi aur woh aapki baat maante nahi to az khud shaadi ka intizaam karlo. Agar shaadi karne me takheer karegi to tum khood gunehgaar hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)