Haidh ke ba'd humbistari karna

Q: Mera sawal he ke meri wife ko mahwari kabhi 5 days kabhi 6 days aati he aur 7th day ko wo gusl karti he to last month usko 5 days hi khun gaya 6th day ko usne gusl kiya To agar humne us din humbistri ki to Kya ye jayaz huwa ya nahi agar nahi to iska koi kaffara he kya

A: Awrat ki aadat uske aakhiri haidh ke mutaabiq hogi. Jab uski aakhiri haidh ki aadat paanch din tha, to is mahine me bhi uski haidh ki aadat paanch din he. Lihaza jab aadat ke upar uska khoon band huwa owr ghusal karne ke bad humbistari huwi, to tum downo gunehgaar nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)