Kufriya kalimaat ki wahem

Q: I am writing this so please tell me about my wording. As I was talking to my husband regarding some issues I said (k jis Allah ny jahn tk pouhchaya tu Uss ny mary liya acha hi socha ho ga) issi tarah ki baat ma na ki. Pouchna ha k ya koi kifriya baat tu nahi ha naa bas m thori prashan ho gayi hon wahumki. 

A: Ye kufriya kalima nahi he, lekin jo adab hona chahia Allah Ta'ala ke saat, ye uske khilaaf he. Allah Ta'ala ku kisi cheez ke sowchne ki zuroorat nahi he. Us aadmi ku kuch sowchne ki zuroorat hoti he jis ke saamne saari cheeze ne ho owr Allah Ta'ala ke lia saari cheeze bilkul zaahir he owr badihi he. Jaise haal ka ilm Allah Ta'ala ke paas he, mustaqbil ka ilm bhi Allah Ta'ala ke paas he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: