Pichle gunaaho se taubah karna

Q: Ma jawan hoty hi kuch glat aadat main mubtla ho gya aur kye saal to is trah zindgi guzarta raha, mgr mjy ab ahsaas honya ha k ye sb to mri hony wali b.v ki ammanat thi jis main ma khiyanat kr betha hon. Main tooba krna chahta hon, meharbani farma kr meri rehnumaye farmayen k meri ye galti meri hony wali b.v aur Allah maaf kr dain. Ma apny gunahon pr bohat shirminda hon. Is waqt meri umir 27 sal ha aur ma abi gair-shadi shuda hon. Shadi ka soch kr apni kheyanat yaad aati ha to sochta hon shadi hi na karon. Meri rehnumaye farmayen.

A: Aap dil se pukhta iraadah karle aur Allah Ta`ala se ro ro karke maafi maange. Mustaqbil keliye azam karle ke har giz is tarah ke gunaaho ke qareeb nahi jaayega. Allah aapka taubah dharoor qabool karega. Biwi ko kuch kehne ki dharoorat nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)