Qabr aur hashr ke maraahil

Q: Kehte hen insan ko marte waqat jannat ya jahanum ka pata chal jata hy thike fir kehte hen qabar me hisab kitab hoga thike fir kehte roze hashr aamal tulen ge thike fir kehte hen pulsiraat se guzarna hoga.

1. Ab baat jo Gsumajh me nhi aa rahi woh ye ke marte howe insan ko jannat dozakh ka pata chal jata hy to fir qabar hashr or pulsirat ke marahel ye kese honge

2. Jub insan mar jata hy mayyat rakhi hoti hy to us murde ko pata chalta hy ke me kahan hon uske rishtedar kya kar rahy hen or jub mayyat lekar jate hen dafan karne to usko pata chalta hy ke mujhe dafnane ja rahe hen ya nhi

3. Ik larki jawan ho jaye woh dil se maan baap ko kahe ke me shadi nhi karna chahti jub tak me Qur'an ko hifz na karlon shadi nhi karongi dil se waldain ko maaf kare to kya aysi larki ko bithaa dena gunaah to nhi he?

G

A:

1. Ye maraahil sab par guzarna hoga lekin qabar se ishaarah mil jaata he.

2. Rooh to nikal gaya he. Usko kis tarah pata chalega illa be-iznillah.

3. Agar waalidayn poori tarah se itminaan he ke woh kisee ghalati me mubtala nahi hogi aur aaindah bhi koi mashaqqat aur dushwaari nahi hogi mathlan gharelu kaam kaaj ka seekhna wa ghayra to durust he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)