Das muharram par rowza rakhne ki fazeelat

س: محرّم کی نویا دس تاریخ کوروزہ رکھنے کی کیا فضیلت ہے کیا یہ ہمارے نبی ﷺکی سنت ہے یا کوئی اورمقصد ہے؟

A: Ye hamere Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki sunnat he. Hadith Shareef me aaya ke jo aadmi Muharam ki daswi tareekh par roza rake Allah Tala us ke guzishta saal ke gunaaho ku maaf karenge.

Ayk Hadith me aaya ke jub Hazrat Rasoolulallah (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne hijrat kia Madina Munawarah ki taraf to Aashurah ke din (Muharam ki daswi tareekh) me Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne dekha ke yahood us din roza rakrahe he to aap (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne un se phoocha ke tum log aaj kyoo roza rak rahe he un logo ne jawaab diya ke is din me Allah Tala ne Hazrat Moosa (Alayhis Salaam) aur Bani Israeel ku Firawn ke zulm se bachaayaa is wajah se hum har saal is din par roza rakte he Allah Tala se shukar karne ke liye. Rasulullah (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaaya ke hum ziyaada qareeb he Moosa (alayhis salaam) se, lihaza hum bhi is din roza rakhte he aur Rasulullah (sallallahu alaihi wasallam) ne Sahaabah aur ummat ku roza rakhne ka hukm diya. Rasulullah (sallallahu alaihi wasallam) ye bhi hukm diya ke 10 muharram ki tarikh ka eik din pehle ya eik din ba'd bhi roza rakhe take hum yahood ki mukhaalafat kare. Yahood sirf 10 Muharram roza rakte the, to hum eik din ke bajaaye do din roza rakenge aur un ki mukhaalafat karenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)