Qur'an Shareef ke saat nihaayat adab owr ihtiraam zuroori he

Q: Aik baat aap sa pouchni thi k ma apni barie beti ka Quraan ka sabaq sun rahi thi (Surah Fatiha) ma na ussay kafi surtein yaad ker waiyi hui hain tu ma kal sun rahi thi tu ussay bholi huiyi thi andher or jb b Quraan sunay ki baat ati ha iss tarha ghalti hotie ha tu mujy buht shadeed ghussa atta ha tu ma kafi ussay marti b rahi iss baat per pher phir ma ny ussay kaha k (Ab bakwas karo) iss ky baad sa mujy khayal ayya k ma na kuch ghalt kh diya ha ma ab ma kafi prashan hon ma ny beti ko kaha or buht ghussay mein thi app iss per mujy jawab day dein k iss tarha khnay sa khuda na khawasta mara iman per asar nikah per asar ma kafi prashan hon jawab day dein jazakAllah

A: Ayse alfaaz sakht gustaakhi ke alfaaz he. Agarche ustaaz ki niyyat gustaakhi owr bad ihtiraami karne ke lia nahi thi, lekin Qur'an Shareef ke saat nihaayat adab owr ihtiraam zuroori he har haal me owr apne alfaaz me bhi Qur'an Shareef ka ihtiraam owr adab karna laazim he. Hum nahi kehte he ke is tarah ke lafz bolne se ustaaz kaafir huwa kyunke mumkin he ke ustaaz ki niyyat ye thi ke Qur'an Shareef me lahn-e-jali karna bohot buri he, ye ustaaz ki muraad thi us alfaaz kehne se. Lekin, usne is baat ku ghalat alfaaz se ta'beer kya. Fil jumla, choonke wo lafz apne zaahir par bura he owr adab ke khilaaf he, to us se sakht ihtiraaz karna chahia owr tawbah karna chahia. Aainda is tarah ka lafz har giz ne bole.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)