Awlaad ke darmiyaan hadya dene me baraabari karna

Q: Kia parents apni marzi se apni jayedad jitni chahen kisi aulad yani beton k naam karden? Kia parents jayedad se aulad ko aaq kar sakten hn? Kia parents ki jayedad zewar chizon waghera pa betion se zayada betay k hawalay se bahu ka haq hota h? Log betion k naam jayedad is liye nahi lagatay k ghero ko jani h or betonko zayada detay hn k apnay pas hi rehni h hala k wo bhi to bahu k hisay ma hi ana hota h wo bhi to gher hoti h is tarhan bahun ko betion ki nisbat zayda milta h or isi ghar ki jo betian hoti hn un ko nahi milta parents k bnaye huay maakan ma to bahu malkin ban k rehti hn jab k beti mahamn ban k aksar aesa ho ta h k beti ko susral se bhi kuch nahi milta or parents se bhi is tarhan beti ka koi ghar nahi hota beton ko to ghar or dukan waghera hisay ma miltay hn or beti ko jahez da k bs hisa shumar kar lia jata h halan k sari zindagi betian khidmat karti hn akhir ma sab beton or bahu ko mil jata h kia ye sahi h? Asal apnay baray ma pochna chati hun pta nahi ma sahi sochti hun k nahiham 6 sister or 4 brother hn meray maa baap ne bari mahnat apnay dil o jan or khahishat ko mar k sari zindagi hame bohat acha pala h hamary liye itna bnaya h k un k janay k bad ham aesh ki zidagi guzari rahay abu ne kuch makaan or fectary or dukan wghera banai ji se kiraya ata h or aik un married bhia kamata h ab wo sarizimadari uthaye huay h hn betion ki shadi bhi bohata achay se ki h acha jzhez diya h shadi k bad bhi wo aksae ati rehti hn un pa or uk bacho or husband ki bohat khidamt or kharch kartay hn aik behan shadi k bad bui idar hi rehti h us ka sara taqreban sara kharch uthaya h kapron wghera k ilawa kiu k us ka husband use kharch poora nahi deta or ab aik bhai ki shadi ki h wo bhi nahi kamata lakin us ka or us ki biwi bachi ka sara kharch uthay h kabhi kabhi ami kehti hn k jo shadishuda beti ghar ma reh rahi h use apna kharcha uthana chahiy k ab hara farz nahi to ma kehti hun k married bhai ka bhi to kharch uthaya h wo bhi hamari zimadari nahi h us ka farz h apni biwi bachi ka kharch uthaye to married beti ka kiu nahi uthana us ka bhi ap ki kami hui jayedad pa haq h jesay married bhai ka h ami kehti hn nahi bahu hamari zimadri h or beti un ki to muja acha nahi lagta k ye k bat hui waliden ki itni jayedad pa bahu to aesh kary or beti ka koi haq nahi ma manti hun parents ne bohat zayada ki h beti ka jahez bhi deia h shadi k bad bhi bohat kia h magar sari zidagi bet ne khidamt ki h bahu ne to nahi beti ko susral waly bhi kuch na de or parents se bhi na milay kia ye soch sahi h ? Meray parents ne sari zidagi mahnat se or kanjoosion se zidagi guzari or itna sab bnaya hamray maa baap ne or ham behn bhaio ne tarikay se kharch kia behno ki to shadi ho gai jo hn wo bhi soch k karaty hn or jo bahu ai h usne ne dil khol k aesh ki phir mera dil jalta raha or hamara makan girnay wala h ham sari zidagi naye ghar ka itizar kartay rahay ab jab banny laga h to abu hi is dunai ma nahi h amu ku ymar bhi kaafi ho gai h behno ki to shadi ho gai h bs ma aik hun meri bhi Allh karay ho jaye to ma sochti hun ab ye neya makan to bahun k hisay ma ana h unho ka haq hona h hamar to koi haq nahi ho ga jab k ye hamray parents ki mahnat ki kamai ka h or hamara hi haq nahi ho or udhr susral waly bhi koi haq nahi detay ye sab dekh k mera bohat dil jalta h laki ma kia karu ma khud ko smjhati hun aesa na sochun ap hi btaye ma kesy khud ko smjhaon?Allah ap ko jazzaye Khair Ata farmaye.

A: Maa baap ku chahia ke apne awlaad ke darmiyaan hadya dene me baraabari kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)