Ma aur bhai ko zakaat dena

Q: Agar me zakat k paisay zakat ki neyat se apnay bhai or maa ko da dun ko ye paisay un logo ko de den jin ko ma zakat dena chahti hun ye na kahun k ye zakat h or na ye kahan k jin ko dena ha unhe ye bhi keh den k ap in paso k malik hn to kia zakat ada jo jaye gi? Agar nahi to ma apnay bhai or maa k zariye se un tak kia keh k zakat bheju k zak at ada ho jaye ma apnay bhai or maa ko nahi btana chahti k ye zakat h ?

A: Aap apni maa ku zakaat nahi de sakte. Agar wo ghareeb he aur paise ke muhtaaj, to aap unki madad kare nafil sadaqa ke paiso se. Agar aap ke bhai ya bhen ghareeb he to aap unko zakaat de sakte he. Unko batlaana dhoroori nahi he ke ye paise zakaat ke paise he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)