Har cheez ki qadar karna

Q: Mujha pata ha mana bohat likh dia lakin ma kisi sa apna masla khol ka share chata tha Ma ap ka jawab ka muntazar ho

Mari walida ko aj sa 13/14 sal pahla cancer ho gaya jin ka ilaj bhi karwaya aor aon ko sahat bhi mili lakin koch wajohat ki wajha sa ham ragula chack up ya falow up na karwa saka (aos waqat ma 6 sal ka ab ma 18 ka ho) Jis wajha sa 4 sal pahla dobara cancer ho gaya hum na phir ila karwaya lakin cancer 1 jagha sa khatam hota to dosri jagha nikal ata phir hum na kisi alim sa rabta kia (aos waqat mara jado wagara pa yaqin na tha aor ghar walo ko bhi nahi tha) khar aonho na huma bataya ka koi jado karta ha mari walida pa hum na aon sa dum karwaya to arazi tor pa aram ajata lakin jab jado dobara hota to phir tabyat kharab ho jati ilaj aor dum ka silsala chlta raha aon alim ka intaqal ho gaya to hum na kisi aor sa rabta kia phir kisi aor alim sa aor phir kisi aor sab ka yahi kahna tha jado ha lakin ab is jado ka masla par koch kami i ha lakin wo shaks jo jado kar raha ha wo apni pori koshish kar raha ha Ap janta ho ga ka cancer ka ilaj bohat mangha ha laki Allah na huma waha waha ata kia ha jaha hmari soch bhi na thi lakin mukamal sahat na di mari walda bhot kamzor ho gai han aj sa phala jitna bhi waqt gozra asihalat nahi hoi is ka sath wo bohat mauos bhi ho gai han wo jina to chati ha lakin dard aor bimari ka is tawil arsa ki wajha sa moot ki talab karti ha

Ma aor mara gahar wala Allah sa har tarha sa dua kar choka han bohat wazifa kia han lakin mukaml sahat nahi mil rahi Mari halat bohat bori ho choki ha ma bohat mauos ho Allah sa mangna bhi chor dia mujha pata ha ya galat ha lakin.! Hum sadka bhi karta han aor zaqat bhi kisi ki madad ho to apni aokat ka mutabik madad bhi karata Ap batyan mari walda kya sahat ki mustahiq nahi aonho sari zindagi taqlif ma bita di kya aon ko apni aolad ki koshya dakhana ka koi haq nahi mujha pata ha akhrat ma aon ka lia bohat acha ha lakin jis aolad ka lia wo zinda rahi bimari ka ba wajod har zarorat pori ki kya aon ki koshya dakhna ka aon ko koi haq nahi Hum kis tarha Allah sa manga Allah kahata mara ajzi mango ma do ga to huma kyo nahi data Mujha pata ha mana bohat likh dia lakin ma kisi sa apna masla khol ka batana chata tha Ma ap ka jawab ka muntazar ho

A: Aap apna kaam karo. Dunya aur dunya ke tamaam cheeze Allah Ta`ala ki he. Usko ihtiraam aur qadar ke nigaah se dekho, apne be-adbi aur gustaakhi se usko har giz paa maal ne karo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)