Khuda Ta'ala par shikaayat karna

Q: Mujhe ek masla malum karna hai ek ladki hai jo apne waalid ki izzat karti hai magar uska waalid uski taraf sakht dil hai or wo ladki job karti hai ghar mai bhi paise deti hai magar uska waalid befikr hai wo kaam nahi karta or waalid 5waqt ka namazi dusro ki madad karne wala tahajjudguzar or haj bhi kia hua h sadqa zakat time pe dene wala islamic rules pe muqammal chalne wala hai magar uski beti ki taraf uska rawaiya thik nhi or uski beti job karti hai phr ghar mai bacho ko tuition deti hai paise ghar mai deti hai jisse uski maa uski shadi ka saman or ghar mai bhi kharch karti hai .. bachpan mai 15 saal ki umar tak bachi ko baap marta bhi tha ab nahi marta magr jb ladki gharpe aati h sham ko mehnat karke thak jati hai to uska waalid usse ghar ke kaam bina taras khae karata hai or kehta hai namaz padho to is rawayye se ladki 23 ki hone ke baad ab keh rahi hai ki allah uske sath galat kar rha hai or aisi aisi baten bol rahi hai to mujhe ye malum karna hai ki ladki ka pareshan hoke aise alfaz nikalna kaisa hai or ye ladki aisi condition mai h ki isko lgta h duniya mai isse zyda koi pareshan nahi ise kisiki sunni bhi nahi hai to ise kaise samjhae iska kya ilaaj ho skta hai or baap se koi baat nahi kar skta kyuki wo kisiki nahi sunta. Please detail mai batae.

A: Ye khuda ka karna nahi huwa. Ye uska waalid ki be samjhi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: