Ustaad kown hota he?

Q: Ustaad ka islam mai bht bada darja hai to ustaad kise kehte hai jisse roz sikha jae ya jo ek hadis suna de wo ustad hai ya jisse ek masla puch lia jae wo ustad hai for example maine apse ye sawal kia hai to kya ap mere ustaad hai. Dusri baat ustad sirf deen e islaam ka ilm dene wale ko kehte hai ya koi bhi ilm sikhane wale ko.

A: Jo aammatan koi deen ki baat sikhaaye samjhaaye usko ustaad kehte he.

Aammatan ye deeni uloom sikhaane wale ko kehte he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels: