Sirf Quraan Shareef ka tarjama parhna

Q:

1. Kia hum Quran ki sirf translation bina Arabic verses parh kar pani pe dam kr sakte hn, kia wo b isi tarh shifa degi jis tarh Arabic verse deti hai?

2. Kia Quran pak ki tilawat sirf translation karne se wahi ajar milega jo Arabic verse parhne se milta hai?

A: Ye to phir Qur'aan Shareef nahi huwa. Qur'aan usee ko kehte he jo Hadhrat Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) par utra aur wahi lafz he aur wahi ma`na he jiske saath ye naazil huwa he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)