Peshaab ke qatre

Q:

1. Agr kisi ko peshaab ke bad istinja ke bad sharmgaah se qatre nikle to wo paak hogi ya napak?

2. Aur aysa tab ho jab kisi ko urinary tract infection ho lekin chota infection ho?

3. Aur agar wo isi haalat me namaz parta raha to kya namaaz hogi ya nahi?

4. Aur ghusal karne pe eysa baar baar mahsoos ho to kya ghusal hoga ya nahi?

5. Aur agar koi basin ki tanki napaak hojaye to paak kaise kare kya tanki ko pani se dhone ke bad intizaar karna parega boonde tapkne band ho jane ki ya ayse hi paani se dho le? 

A:

1. Agar qatre nikalne se wudhu toot jaata he to us jagah ko dho karke phir se wudhu karle.

2. Agar yaqeen he ke wudhu karlene ke bad woh qatra nikla to namaaz nahi huwi.

3. Jis tarah oopar likha gaya ke wudhu tootta he yaqeen se, ne ke mahadh shubah se. Agar ye qatra peshaab ka ho to peshab ke qatra ke girne se wudhu toot jaata he. Ghusl duhraane ki dharoorat nahi.

4. Nahi. Dhone ke bad paani ko giraade. Giraane ke bad basin paak ho jayega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)