Haidh ki haalat me peeche ke raaste me humbistari karna

Q: Agar biwi period me ho to kya back side piche karna jaiz he or piche kar sakte he?

A: Haidh ki haalat me biwi ke saat humbistari karna haraam he. Biwi ke badan me se naaf se lekar ghutno tak ki jaga se showhar ke lia haat lagaana owr faaida uthaana jaaiz nahi he. Naaf ke upar owr ghutano ke neeche se showhar ke lia faaida uthaana jaaiz he. Agar showhar biwi ke badan se faaida uthaana chahta he, to biwi ku chahia ke naaf se lekar ghutano tak ki jaga ku daamp lele (jaise biwi koi kapra pehne).

Peeche ke raaste me jima karna haraam he, kwa biwi haidh ki haalat me ho ya ne ho. Ye bohot hi sangeen gunaah he. Bohot sakt waeed Hadith Shareef me bhi aya ayse logo ke lia jo ye kaam me mubtala hote he. Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne irshaad farmaya ke jo aadmi biwi ke saat humbistari kare haidh ki haalat me ya sureen me, ya kisi kaahin (faal goh) ke paas jaae, to us ne bari naa shukri ki us cheez ku jo Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke upar utri (ya'ni Shari'at ka hukm). Ayk Hadith Shareef me Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne irshaad farmaya ke Allah Ta'ala karam ki nigaah se us mard owr awrat ku nahi dekhte he jo peeche ke raaste me (sureen) humbistari kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: