Dhoka ki surat me paise maalik ko paisa waapis karna

Q: Mera swal yeh hay k aik bndey ney mujh sey kuch deal ki hum deal per agree ho gaey dono us bandey ney mujhy ACC# dia jo k us k name per ni tha main ney US account main rakam muntkil ker di us k bad wo bnda gaeb ho gaya or jo cheez us ney mujhy deni thi wo ni di.

Ab jo peasey main ney account main dalwaey they main ney wo account trace kia or us account ko block kerwa dia us k bad account ka phone number ley ker main ney bat ki to jis ka account tha us ney kaha k yeh peasey merey account main aey hain lekin in peason ka badla main ney kisi bndey ko dey dia jis ney mujhy kaha tha k main ap k account main rakam dalwa raha hun.

Ab mujh sey b dhoka hun jis ka account tha us ney paso ka badla b kisi ko dey dia.

Mera swal yeh hay k ab jo account main peasey hain wo kis k hon gey jis ney dalwaey us k ya jis ka account hay us k

A: Ye payse khareedne waale ke he. Uski taraf waapis kardena chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)