Marital problems

Q: Meri umer 54 hay aur meri wife ki umer 41 hay. Meri biwi bagher kisi saraye uzar k mujh ko hambistri say mana karti hay k aap apni umer dakhayn aap ko to roz chiye. Bachay baray hogay hayn (Meri ek bachi ki umar 13 sal dosray bachay ki umr 11 sal aur tesray bachay ki umar 5 sal hay). Jab k bachay apnay room may sotay hayn chota bacha hamaray sath so ta hay. Biwi rat ko room ka darwaza band nahi karti k bachay kia sochayn gay. Hambistri k time mukhtlif bahanay banati hay ye monh banati hay. Kia en chizo ki Islam ijazat dayta hay? Jab k may apni biwi aur bachon k har haq pura karta hun. Mujh say ye bardasht nahi hota mujhay dar lagta hay k may kahi zina ki taraf na chala jao ya musht zani na karnay lagon. Kia aiyse aurat ko talaq da di jay? 

A: Usko muh banaane ka haq nahi he. Jab aapko haajat he to usko aapki haajat ka ihtiraam aur lihaaz rakhna dharoori he

Agar woh aapki baat nahi maanti aur aapne bachcho ka intizaam karliya ho to bajaaye talaaq dene ki doosree biwi se shaadi karlo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)