Rukhsati se pehle talaaq

Q:

1. Rukhsati sy phly talaq pr iddat hoti hai ya talq k foran bad laiki khi or shadi kr sakti hai? Jb ky 1 ya 2 br tanhai mai mila ja chuka ho or sirf foreplay hova ho pr sex nahi hova ho. Or os wakt aik bnda ghar mai mojood b tha lakin kmry mai nhi tha. Or kmary ka drwaza b lock nahi tha. Or os bndy ko pta b tha k hum os kamry mai hain. Or sex ka koi irada tha b nai or foreplay k doran bna b nai. Or ye b start sy e decide hova tha dono k beech k rukhsati sy phly sex ni hoga. Or kia phli talaq pr e talq ho jay gi?

2. Wo dono dubara sy bina halala k nikah kr sky gy?

3. Nikah k bad rukhsati sy phly talq ka ahsan tareeka bta de jeye. Jis sy bad mai b koi gunjaish bach sky. tamam rasty bnd na hon.

A: Agar rukhsati se pehle yani miya biwi ke darmiyan kisee qism ka khalwat nahi huwa to eik talaaq milne par iddat guzaarne ki dharoorat nahi. Fowran shaadi kar sakti he.

Dobara nikaah kar sakte he.

Ahsan tareeqah yahi he ke khaawind apne oopar qaabo rakhe aur bila soche samjhe kuch ne bole.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: