Razaa'i behen ki beti se nikaah karna

Q: Mai ye jaana chahta hu ke kya mai apni khaleri behen ki beti se nikah kar sakta hu. Maine apni khala ka dudh piya tha. To unki beti ki beti se nikah jaiz hai. Kyon ki hum dono ek dusre se bahut mohabbat karte hain or ek dusre se nikah b karna chahte hain, pichle 4-5 saalo se hum dono ek dusre se bahut mohabbat karte hain or nikah karna chahte hain. Par ye dudh ka masla bich me aaya hua hai. Haala ki maine khala ammi ka dudh piya tha. To unki beti se nikah nai kar sakta. Par kya mai unki beti ki beti se nikah to kar sakta hu na? I

A: Jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: