Majnoon lowgo ka hisaab hoga Qiyaamat ke roz?

Q: Kia roz e qayamat paglon (majnoon) ka hisaab o kitaab hoga agar hoga to kis tarah say hoga? kia un ko aqal di jaye gi?

A: Agar koi shaks apni poori zindagi me paagal raha, to choonke wo mukallaf nahi he, us ka hisaab nahi hoga. Aur agar koi kissie waqt paagal hota aur kissie waqt agal tikaane me hota, to teek hone ke zamaane me jo kuch aamaal kya, us ka hisaab hoga, aur jo aamaal us ne  paagal hone ke zamaane me kya, us ka hisaab nahi hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)