Qadha namaazo ko poori karne ka tareeqah

Q:

1. Mai satra (17) saal ka hu. Islam baara (12) saal ke baccho ko namaaz parhne ka hukm deta he. Mene aaj tak namaaz nahi parhi. Kya mujhe fout shuda namaazo ko ada karna hoga?

2. Agar ha to din ke kitne rakaat qaza namaaz kab parhni hogi aur kis waqt ki qaza namaaz me kitni rakaat hoti he.

A: Jee.

Hisaab lagaao ke baaligh hone ke bad se kitne fardh namaaze aur witr namaaze qadha ho chuke. Phir usee hisaab se rozana har fardh namaaz aur witr ke saath pichle saalo ka ayk qadha karlo yahaa tak ke un tamaam namaazo ka qadha poori ho jaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)