Mujhe birth mark ka problem he

Q: Meri problem yeh hai ke mujhe birth mark hai. Mere shoulder ke niche aur kamar par bhi hai. ye poori tarah se covered hai, lekin phir bhi mujhe dar hai. kyounki meri shaadi ki baat chal rahi hai aur unlogon ko ye nahi pata. Ye daag jo shoulder ke paas hai accha bada aur phaila hua hai, par ye daag mera by birth nahi hai. Mai jab 8 saal ki thi tab ye daag halka tha aur jaise jaise growth hua waise hi waise ye daag badhta gya aur dark hota gaya. Hamlogon ne bahut saare bade doctors se bhi consult kiya par wo bolte hai ye nahi jayega hum kuch nahi kar sakte. Mai itna accha rishta khona nahi chahti. Mai janti hoo jahan par sara science fail ho jata hai waha Allah hi hai jo raham karne wale hai. Mai bahut duaye kar rahi hoo. Maine hazat ke liye wazifa bhi kiya hai par woh daag me koi change nahi. Mai bahut ziyaada preshan hoo ke kya karoon aur kya na karoon. Ammi aur papa ko koi farq hi nahi pad raha wo kahte hai ye covered hai isme kya problem hai. Phir mai bahut preshan hoo mujhe bahut takleef hai ki mujhe ye daag hai. Please mujhe ye bataye ki mai kya karoon. Kya karoon aisa jisse Allah mujh par rahem karde aur ye daag gayab ho jaye. Koi raasta bataye, koi wazifa koi dua bataye, jo mai kar sakoon aapki jindagi bhar ke liye shukrgujar rahoongi. 

bismillah.jpg

A: Aap is ki taraf fikr ne kare is lia ke wo daag chupa huwa he. Aap shukar kare Allah Ta'ala se ke unhow ne aap ke badan ke dowsre a'azaa ku saheeh saalim raklia.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)


Q: Aap ne to koi solution hi nahi bataya. Aap ko maine pahle hi bataya hai ke meri rishtey ki baat chal rahi hai, aur ab yahah baat meri engagement tak aa gayi hai. Mujhe kuch samajh me nahi aaya ke mai unlogo ko iss baare me kya bataoo is liye maine nahi bataya, phir ab kya karoon mai. Doctors to kahte hai ki yeh birth mark hai, phir mera birthmark to maa ke pet se nahi hai, mai 8 saal ki thi tab ye aachanak se hi aaya phir ye bahut hi halka tha jaise badan pe mail aa jati hai waise hi tha par ab phailte phailte bahut spread ho gaya hai aur mujhe lagta hai ki ye day by day phailte jaa raha hai. Ye kala dhabba jaisa lagta hai aur bahut hi bura lagta hai mujhe. Aur agar ye birthmark hai to mai ise samjhoongi meri family samjhengi is baat ko, phir ab meri shadi honi hai, doosre logon se mai ye umeed kar sakti kya aap hi bolye? Aaj kal to aap jante hai larke wale rai ka pahad bana dete hai aur phir ye bhi to ho sakta hai ki us insaan ko hi yeh nagawar guzre jisse hamara nikah hona hai. Waise to yeh log mujhe dil se pasand kar chuke hai aur mujhe bhi sab kuch bahut pasand hai, kahin aisa naa ho ki iss daag ki wajah se hamare rishtey pe aanch aa jaye, jo mai nahi chahti. Please meri madad kijiye, mai bahut pareshan hoo. Koi to dua aur wazifa hogi jisse hamara ye daag theek ho jaye. Jaise jaise hamara rihtey ki baat shadi tak jaa rahi hai meri preshani aur badh rahi hai, mujhe kuch samajh nahi aa raha ki kya karoon. Please meri madad kijiye Allah aap ko iska ajar denge, mujhe kuch solution bataiye, koi dua bataiye, kyounki doctors ki taraf se mai poori tarah naumeed ho chuki hoo bas ab sirf Allah par hi umeed hai. Mai to  dua taweez ke baare me nahi janti Aap jante hai please meri madad kijiye, mai bahut preshan hoo jaldi hi rply kijiye.

bismillah.jpg

A: Agar birth mark hai to fikr karne ki koi zaroorat nahi hai aur ne larke ke khaandaan ko kuch bataane ki zaroorat hai lekin agar ye ek bimari hai aur tumhe andesha ho ke ainda nikah main kuch problems ho sakte hai to batlaana behter hai.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: