Meerath ki taqseem

Q: Mera sawal hai ke jab meray father 12 saal ke they tou meray dada nee aik Ghar un ke naam pe kharida or aaj bhi wo Ghar un ke naam pe hai or meray father shaheed hogaye Hain tou us Ghar me kya meray father ke bachon ke ellawa Kya un ke Bhai behnon ka bhi haq hoga?

A: Agar aap ke dada ne wo ghar aap ke waalid ko hadya ke tor par diya aur unko us poore ghar ka maalik banaadiyaa, to aap ke waalid us ghar ka maalik ta. Aap ke waalid ke intiqaal ke bad wo ghar unke waariso ke darmiyaan taqseem hoga unke miraas ke shar'ee hiso ke mutaabiq. Waariso ke alaawa kisi ko ghar par koi haq nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)