Kya bay'at zaroori hai?

Q: Kya har muslum ke lei zaroori hai ke wo kesi waliullah ya sheikh se bay'at (us ke bataei huei kaam or amal kare) le ya nahe?

bismillah.jpg

A: Nafs ki Islaah karna tamaam gunaho owr buraaiyo se Shari'at me fardh he. Kisi Waliyullah ke haat par Bay'at hona Sunnat he. Islaah-e-nafs se muraad ye he ke aadmi tamaam gunaaho zaahir owr baatini se bache owr apni zindagi ku Sunnat waali zindagi banae. Ye har insaan par fardh he. Dunya ke dustoor me ye cheeze buzrugaane Deen ke rehbari hi se haasil hote he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)