Nikaah ke waqt gawaaho

Q: Jb me 24 yr ka tha tb meri ammi ne mujhe btaya tha k meri shadi meri khala ki beti se hogi tb waha bahut sare log the phr kuch month bad mene ye bat apni khala ki beti ko bhi bta di k ammi ne ye bola k hmari shadi hogi aur hum dono ek dusre se uske bad se pyar krne lage aur bahut kareeb bhi aagyi kiss bhi ki hai aur mene apni khala ki beti ke breast pr bhi kiss ki aur wo mujhe apna husband aur me use apni wife man chuka hun Meri khala ki beti ne aur mene akele me teen bar qubool hai qubool hai bhi bola tha to kya hamari shadi hogai kyoki ammi se bahut logo ke samne kaha tha k hmari shadi krayengi Pr jb humne qubool hai bola to kisi ko ni pta aur ammi se aur meri behan ne mujhe khala ki beti se bat krte hue bhi dekha hai

Mera dusra sawal ye h k uper jo mene btaya usse mera nikah hogya.to me ye puchna chahta hun k ek bar mene gusse me khala ki beti ko 3 bar talaq bol diya tha to kya talaq bhi hogya Ab agr me khala ki bati se shadi krna chahu to kaise kru kya halala krna hoga Ek bat ye bhi puchni hai mene tv me dekha tha talaq hote hue to mene socha tha k shadi ke bad me bhi apni wife ko aise hi talaq dunga to kya ab ye zaruri h k jb bhi me shadi krunga to shadi ke bad talaq bhi dun

A: Ijaab aur qabool gawaaho ke saamne hona chahiye. Agar kai musalmaan mard ke saamne iejaab aur qabool hogaya to ye aapki biwi ho gayi.

Agar nikaah hogaya to zaahir baat he ke talaaq bhi hojaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: