Nikaah ke ba'd pata chalana ke biwi haamila he

Q: Mera nikah hua tha aik larki se. Jis k baray m mujhe shadi k 2 months bad pta chala k wo pregnant thi pehlay se. Mujhe nhi pta tha es chez k baray m. Meri shadi ko 3 months guzray wo larki apnay ghr chli gai bina btai aur us n wahan ja k bacha zaya krdia, us time us bachay ki umar 6 months thi. Wo boy tha jo unho n zaya kr k dafna diya aik qabristan m. Ab mera sawal ye h k kiya ye nikah jaiz hua ya haram aur kiya mere upar gunah ata h zina ka? Aur us larki p kiya gunah h aur kiya m gunahgar hua? Meray sath dhoka hua h.

A: Agar woh hamal se thi zina ke nateeje me to nikaah ka karna to durust huwa. Albatta jab aapko maloom hee nahi tha ke wo hamal se thi to aapko kuch gunah nahi. Albatta hamal ko dhaai'i karna ye bare khatarnaak gunah he. Uska taubah karna dharoori he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: