Waalid ke wafaat ke ba'd shirkat me kitna hissa milega?

Q: Mery walid sahib ne hal hi mein wafat pai hy. walid sahib ne aik rawalpindi city mein mery aur apny paison se aik set tehmeer kerwaya tha. aur apni wafat tak us ka karaya wo khud laity rahy. aur wo aksar kaha kerty thy ke meri wafat ke bahad ye set es (mera) ka hy. ab agar abtak ka karaya calculate kia jay to jitny paisy unhon ne shamal kiay thy karaya us se zaida banta hy. shari lehaz se ab is ko taqseem kaisy kia jaiy. jab ke karaya muj per istehmal nahi hoa kion k mein alag rehta hoon.

A: Agar saaf saaf aap dono ne shirkat ki he aur dono ne saaf saaf isko shirkat hee bataya to lihaza ye shirkat hogi. Jitna aapka hissa hoga us hisse ke muwaafiq kiraya ka tum mustahiq ho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)