Sharamgaah ki badboo se kya ghusal waajib hota he?

Q: Mujhe hamesha sharamgaah se discharge hota he kabhi ziyaada aur kuch din kam discharge hota he. Aur sharamgaah se bohot ziyaada bad boo aati he kabhi ziyaada bad boo aati he kabhi kam ye qudrati he jo bacteria ki wajah se hota he aur paseena aur sharamgaah ki nami ki wajah se hota hai.

Mera sawaal ye he ke kya sirf sharamgaah ki bad boo ki wajah se ghusl toot jata he? Jab ke mujhe poora yakheen he ke neend ke douran na hi koi ihtilaam aur na koi shahwat thi. Yaqeen he ke ye wohi safed discharge he jo aam towr par nikalta he ihtilaam aur shahwat ke beghair. Kya ghusal karna wajib he ya sirf wudhu kaafi hai.

A: Koi ghusal nahi. Behtar ye ke jab logo ke paas jana ho to jin jagoh se bad boo aati he usko saaf kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)