Ihraam ki haalat me haidh shuroo hojana

Q: Mein Medina se umrah k kiye meeqat se niyat kar k Makkah rawana hui per Makkah pohanch kar haiz hogaya tou anjanay mein ahram ki niyat mjhse khatam hogayi. Khusboo wala soap, aur hath pe ittar bhi lag gaya aur naqab bhi pehen liya jesa mjhay laga k haiz ki waja se ab ihraam nahi raha mera..Mjhay kindly batayen k ab mein umrah kesay aur kahan se Ihram ki niyat karun? Mein abhi makkah mein Hun..buhut pareshan Hun.. Allah maaf farmaye Mjhsay kya gunnah hogaya

A: Agar poori haath par ittar lagaayi to uske liye eik dam dena dharoori he. Aur niqaab agar baara gante se ziyaadah pehn liya to doosra dam dena chaahiye. Haidh khatam hone par ghusl karke umrah poora karlo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)