Quraan Shareef ko bhool karne ki saza

Q: Ager koi kisi bache ko zaberdasti Quran hifz kerwae jab k wo bacha na kerna chahe lekin logon ki baton mein aker kerle or yaad ker k bhool jae ese case mein kia hota kia saza hogi roze akhrat mein ya koi kuffara he bhool jaane ka kyon k wo bacha nai kerna chahta tha lekin logon ne kaha kerlo ek dafa bohot sawab or usne ker bhi lya lkn ab 10 saal baad wo bhool geya he

A: Jab us ne Quraan Shareef ka hifz kar liya, to usi ki zimedaari hogayee ke wo Quraan Shareef ka dor kare aur baar baar us ko parhe taake wo us ko na bhoole. Agar wo apni zimedaari poori na kare aur Quraan Shareef bhool gaya, to wo ghunegaar hoga. Agar wo Quraan Shareef bhoolgaya, to us ku chahiye ke apni himmat na haare aur baraabar Quraan Shareef yaad karne ki kowshish kare. Allah Ta'ala asaan farmaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)