Mehndi lagaane ke bad wudhu karna

Q: Mujhe mehendi k bary me ye sawal pochna hai k kis tarah ki mehendi se wazo hojata hai or kis tarah ki mehendi se wazo nh hota.

Logon ka ye kehna hai k layer wali mehendi se namaz nh hoti. Ub mra sawal ye hai k jab hum mehendi lagaty hain to 3 4 din k bad wo choti choti teh ban ker ukharny lagti hai. Kia ye wo layer wali mehendi hai k jab wo 3 4 din bad mitny lagy ti is trah ukhar k mity.is se namaz nh hoti?

Or usually sab mehendi isi tarah ki hoti hain. Buhat he kam mehendi aise hoti hain jo shayad he asani ae dastiyab hon k wo layer bn k nh utarti blky bus uska color hlka hojta hai. . Bara e meherbani mujhe is bary me tafseeli jawab de den me buhat zada confuse hun.

A: Mendi lagaane ke bad agar sirf mendi ka rang haat aur per par rehjaai aur paani khaal tak phonchta ho, to wudhu hojaega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)