Ihraam ke beghair meeqaat se guzarna

Q: Meri wife Umrah per aarahi thi unho nay ghar say niyat nehin ki some problem ki waja say unho nay socha kay woh meqat per neyat kary gi lakin airport per un ki tabyat kharab ho gai iswaja say meqat per bhi niyat nehin ki aur bagair neyat kay Makkah mein enter ho gai. Meri job Riyadh mein he aur woh Haram nehin ja sakti thi jis ki waja say mein un ko Riyadh lay aaya mujhe batay kia dm wajib ho gia?

A: Ihraam ke beghair meeqaat se guzarna jaaiz nahi he. Is ghunaa aur jinaayat ki wajah se eik dam waajib hogaya. Dam se muraad eik bakri ya dumba jo haram ke hudood me zabah kiye jaye jinaayat ke liye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)