Khaab ki Tabeer

Q: Mein ne khwab dekha keh mein ek railway station pe ho but ajeeb sa railway station hai mein ne aj tak aisa railway station  nahi dekha hai ais ko lohe ke taroon se chalana parta ta aur waha pe pani b balti mein pani b ta jo saaf ta aur mein ne peena shoro kya aur mein kafi pene laga keh mere kapro per b gair gaya pani aur mere agay ka kapra geela hogaya lekin pani garam nahi ta normal ta agar ziyada garam hota to mein shayed na pe sakta. Waha pe ek aur shakhs kehta hain waha bahut tanda pani hai waha se peliya jay. Yeh pani tora garam hain.

bismillah.jpg

A: Agar paani kuch garam tha (agar che itna garam nahi tha), to apne zareea e ma'aash dekho ke is main koi gunaah to nahi ho raha hai jese namaaz waqt par ne parhna ya aurato mardo ki ikhtilaat hona ya koi aur gunaah. Us shaks ka aap se kehna doosri jah ke thanda paani se piyo, us se muraad ye hai jahaan kisi qism ka gunaah nahi hai waha se rozi aur ma'aash talab kar lo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: