Khwaab ki Tabeer

Q: Mufti sahab mein ne khwab dekha ek evil aurat mujehe pe hamla kar rahi hain lekin mein usko marta ho ek loha hota hai jais se 5 lohe aur b neklay hoi hote aur mein uske zariye warr karta ho us evil per but woh peechay nahi hatti tab mein surah nas parne lagta ho to woh evil aurat sust hojati hain per marti nahi hain pher waha pe koi admi hota hain jais ka face to mein nahi dekh pata but woh mujehe koch qurani pages de deta hain aur mein woh quran ke pages us evil aurat k saat touch karta ho to woh aurat jal jati hain aur woh qurani pages b saat mein jal jate hain. Please agar is ki koi tabeer hain to share kare.

bismillah.jpg

A: Aap paanch waqt ki namaaz aur sone se pehle chaar qul aur aayatul kursi par liya kare. Isi tarah apni zindagi ko sunnat wali zindagi ke mutaabiq guzaar. Neak suhabt hamesha ikhtiyaar kar aur buri suhbat se bacho. Tamaam gunaah se bacho. Aankh, kaan, dil ki hifaazat kar. Agar aap aisa karenge to Allah Ta'ala ki mada hamesha shaamile haal rahegi har shar aur dushman se. Khwaab ki tabeer ye hai ke agar aap Allah Ta'ala ki farbaa barbaardi karte rahenge to Allah Ta'ala ki mada aap ke saat ho gi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: