Kiya Surah Yaseen aur Surah Waaqiah parhne ke liye ijaazat zaroori he?

Q: Aik shaks daily surah yaseen apni hajat keliye parta hai n surah waqia faaqah se bachne keliye n rizq keliye kyn ke Nabi Sallallahu Aleihi Wasallam ne hukum dia hai hadith me to us shaks ko in dono surahs ko daily parne keliye kisi amil ya peer ya sheikh se ijazat lena zaroori hai kyn ke wo to hadith pe amal karne ki koshish karaha hai?

A: Jab Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaya to ijaazat haasil ho gayi. Mazeed peer wa ghayra se ijaazat milne ki koi dharoorat nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)