Istikhaara ke ba'd me ne ye khwaab dhekha

Q: Mai nai apni shadi kai liye istkhara kiya kai mai jahan chahti hon waha shadi ho jai ge ya nahi aur sahi rahai ge.

Mai nai khawab mai daikha bohat sai admi hai chotay baray unhon nai gray pant coat aur black shoes pahn rakhay hai aur wo aisay kharay hai jaisay match ka graph hota hai aik jaga khali shoes hotay hai jaisay hi admi shoes mai ata  hai Graph complete ho jata hai phir isi khawab mai mai nai daikha kai hamari aik azeeza ka ghar ban raha hai boht bara waha bohat sai greeny plots hai aur 2 baray kamray hai un azeeza ki 12 nokraniya hai jin mai sai aik mai bhe hon kahatay hai sab nokraniya unlegal hai un 12 mai sai 6 nokraniya bhag jati hai baqi 6 nokraniaya mugh samait bachi hai mai un ko mana karti hon kai hum nai malkan ko nahi chor kar jana hai phir isi khawab mai daikha kai aik kamray
mai aik chokidar so raha hai aur us kay sarhany paki hui tea ka packet para hai phir isi khawab mai daikha kai mai bahir aik greenery wali jaga par khari hon qareeb hi pani ka aik pipe hai jis sai pani ki phuwar jari hai mai nai white dress pahna hua hai aur samnay aik parrot green colour ki wood roof hai us mai aik larki khari hai us nai green suit pahna hua hai khoobsurat hai wo hans kar mughay hath hila rahi hai aur mai usay kahtay hai wo bhagi hui nokrani hai shaid. Please mughay is ka rply jald di jiye ga khuda aap ko is ki jaza dai.

bismillah.jpg

A: Nek suhbat ikhtiyaar kare aur buri suhabat se bache. Agar aap apne zindagi ko sunnat wali zindagi ke mutaabiq guzaarange aur gunaah se bachengi to Allah Ta'ala aap ko kaamiyaab farmaenge aur nek rishta naseeb farmaaenge. Khwaab ka peghaam aur matlab yahi hai.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: