Talaaq Naama

Q: Meri shadi Holland main hoi ti... mujhy yahan Holland bulane k liy mere shohar nain humari shadi yahan register krwai... hum nain court marriage ni ki just nikah nama aor doosre papers b register kiyay... Humari financially halat sahi ni ti is liy hum nain Holland k qanoon k hisaab se divorce lai li joo k papers hum nain register kiy thy... Holland k hisaab se humari abh shadi khatam h lakin hum dono ka neeyat naa to talaq daine ki ni ti... hum nain just apni financially circumstances ki base p divorce apply ki... mujhyy yeh poochna ta k Islamic divorce b ho gyi h... Hum nain mutually understanding kr k yahan k qanoon k mutabiq divorce lai li... abh koi kehta h divorce ho gyi h... Agar ho gyi h to iska koi aisa tareka h raju krne ki?

A: Agar khaawind apni biwi ki haaziri me divorce paper par divorce sign kare (aur zabaan par talaaq na bole), to divorce waaqi nahi hogi. Chonke biwi ki haaziri me talaaq zabaani hona chaahiye. Lekin agar khaawind apni biwi ki ghair haaziri me divorce paper par sign kare to ye do surat par hosakti he.

Phehli surat ye he ke khaawind likhe ke me apni biwi ko talaaq deta ho ya talaaq de raha ho to is surat me talaaq waaqi hogi chonke us ne usi waqt talaaq dediya. Is ko jhoot samaj kar karne se koi faraq nahi hoga.

Lekin agar us ne sign kiya ke me ne apni biwi ko talaaq de chuka ghuzishta ayaam me aur is kabar ko jhoti khabar jaan kar likh diya to talaaq to is surat me waaqi nahi hogi chonke us ne talaaq nahi diya, balke talaaq dene ki jhoti khabar bataai.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: