Bank se madad lena muhtaaji ki haalat me

Q: Meri bhabhi bewa hu gayi unki 2 betian na unka koi baap hai na bhai na beta, unki maa bhi bewa gain unke pas wo rehna chahti gain air hum se pehle wo hisse ki demand jar rhi tho lekin jab fatwa mil gaya ke wo apne susar se zabardasti unki jaidad se hissa nhi le sakti, ab unke shuhar ki aik car jiski malia 5 lac hai hamare ghar ka zevar ju much bech chuki hai ab 1 lac wo air much saman 50 hazar tak baqi paise 3.5 ya 4 dal ke wo kehte hain bank mei fix karwa de bachion ka, take bachian muhtaj na hu, ab jiske sar pe koi sarparast nhi kya bank mei paise dena jaiz hai?

A: Bank ka karobaar har musalmaan janta he ke haraam he. Raato din soodi muamalaat hote rehte he. Aur is se dunya wa aakhirat me tabaahi hoti he. Allah Ta`ala ki taraf se lanat hoti he. Lihaza agar bachchiyo ki bahboodi chaahte he to bank se sakhti ke saath nikaal de.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)