Faarigh ka lafz se talaaq

Q: Shadi ke bad mery husbnd ny mjse srf 1 mnth relation rakha os k bad hm sath rhty the lekin koi relation ni tha hmara aur laraiyan hoti thi mery husbnd ny mje kafi bar bola k tm meri trf se azad ho mein tme ni rakhon ga aur tme talaq dy donh ga mera wada ha! phr 2017 mein mery husbnd ny mje yh sentence bola mein tme 1 talaq deta hon mein tme 2 talaq deta hon aur mein apne parents k pas ah gai meri eddat guzar gai 3 maeny hmari koi bat ni hoi phr 4 maeny bad mery husbnd ny mje mobile pr msg pr talaq talaq talaq likh kr behja aur kah mein tme 3 talaq dy chuka ab tm mery lye haram ho !mera sawal yh hai k kia mje 3 talaq ho gai han k nahi ??q k mery parents smajty k abi srf 2 bar talaq hoi aur mera husbnd k sath nikkah ho skta!jazakAllah

A: Agar aap ke yaha faarigh ka lafz talaaq ke liye bola jaata he to is lafz se talaaq waaqi howi. Jitni dafa us ne bola utni dafa talaaq waaqi howi.

Lekin agar faarigh ka lafz aap ke yaha talaaq ke liye nahi bola jaata he, aur aap ke khaawind ne talaaq ki niyyat se nahi bola to is lafz se koi talaaq waaqi nahi huwi. Phir jab us ne aap ko do talaaq de di to sirf do talaaq waaqi hogayee. Agar do talaaq dene ke bad, khaawind ne rujoo nahi kya, to teen maahwaari ke bad aap us ke nikaah se nikal gayi. Jab aap us ke liye paraya hogayee, to paraya aadmi ka talaaq waaqi nahi hoti. Lekin agar teen maahwaari poori hone se pehle usne aap ku teen talaaq dedi, to teesri talaaq waaqi hogayee.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: