Qasam torne ka kaffaarah

Q:

1. Maine nafal prh kr dua main Allah Paak ki kasam khai thi k ye gunaah nhi krunga aur us par pura nhi utar paa rha mushkil horha hy to is halat main kia kafara hy?

2. Aur aik bar Allah Paak ki kasam khai ya bar bar khai ho kafara aik hi dafa de skty hyn sab ka?

A: Qasam torne se kaffarah waajib hota he aur qasam ka kaffarah ye he ke das miskeeno ko do waqt khana khilaana, ya har eik ko sadaqatul fitr ka miqdaar dena ya har eik ko kapra pehnana.

Jab eik martabah aapne qasam tordi to eik hee martabah kaffarah adaa kare. Eik martabah ke toot jaane ke ba`d to woh tooti huwi rahegi. Jab tooti huwi rahegi doosri teesri martabah kaffarah dene ki dharoorat nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)