Rukhsati se pehle talaaq, mahr aur iddat

Q:

1. Kia rukhsati se phele nikah shuda husband wife ka milna shariyat k khilaf hae?

2. Aur rukhsati se phele agar talaq ho jae tou haq mehr half banta per husband ilzam lagae k nikah jaan bouj k khatam kia wife ne halank wife ne khula ya talaq ka mutalba nahi kia ho kabhi tou haq mehr ka kia bayan hae ese soorat me?

3. Aur iddat ka kia bayan hae ese soorat me?

A:

1. Shadi agar hogayi to milne me koi haraj nahi.

2. Agar kisee qism ki khalwat nahi huwi aur khaawind ne talaaq dedi to agar khaawind ne bataya ke itna mahr dega to ab uska aadha dena chaahiye.

3. Agar khalwat nahi huwi to iddat bhi nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: