Khalwat se pehle talaaq

Q: Mera sirf nikah huwa hai or mere husband Lahore mi rhete hain wo mujh se milne aye or hum ne kiss bhe lakin koi na koi ajata tha lakin kbhe aisa moka nhe mila ya jaga nhe mili humbistari kar sakain hum room mai koi na koi ata rhta tha unho ne mujhe 3 bar talaq di hai ek he trha se mai tumhe talaq deta hu mai tumhe talaq deta hun mai tumhe talaq deta hun kya hmara nikah ho sakta hai dubara? 

A: Shaadi ke ba'd agar tum dono ne khalwat nahi ki kisi aisi jage me jahaa humbistari hosakti thi aur waha par koi shar'ee ya hissi maani' nahi tha (jeise biwi haiz me hona ya logo ki maujoodgi) aur phir tum ne biwi ko teen alag jumlo se teen talaaq dedi (maine tumhe talaq di, maine tumhe talaq di, maine tumhe talaq di), to sirf eik talaaq-e-baain waaqi hogayee. Agar tum downo milna chahe to dowbara nikaah karna hoga naya mahr ke saat.

Agar tum dono ne khalwat ki aisi jaga me jahaa humbistari hosakti thi aur waha par koi shar'ee ya hissi maani' nahi tha (jeise biwi haiz me hona ya logo ki maujoodgi) aur phir tum ne biwi ko teen alag jumlo se teen talaaq dedi (maine tumhe talaq di, maine tumhe talaq di, maine tumhe talaq di), to teen talaaq waaqi hogayee aur tum dono eik doosre ke liye haraam hogaye. Halaala ke beghair wo aap ke liye halaal nahi hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: