Ma baap se zaban daraazi karna

Q: Mujhe koi aisa amal bata dijie jisse me apne maa baap dono se zaban daraazi karna band kardu aap aisa karke mujhe dozak ka mustahiq hone se bachane ka zariya bn jaege. Mere dil ko ehsas hota he ye galat he me apni ammi ki har choti zarurat ka dhiyan rakhti hu khud se pehle unke liye sab karti hu lekin jab wo kuch kehti he tab nhi rok pati khud ko baad me afsos hota he ki ye kya kia dua bi karti hu esa na ho tab bi kuch nahi hota.

A: Baat karne se pehle hamesha soche aur agar ghalati hogayi to ma baap ke per pakar ke unse maafi maange, balke unko jooti dekar ke kehde ke aapke sar par maarde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)