Nikaah karne par teen talaaq muallaq karna

Q: Agar nikah sy pehly koi shart par talaq mu'allaq kardy masalan agar mai ne falan kaam kiya to mai jis sy nikah karu wo mujh par 3 bar talaq. Aur phir wo kaam kary phir dobara kahy ky agar mai ny ye kaam agar dobara kiya to dosre bar main jis sy shadi karo wo mujh par talaq. Aur phir wo kam us sy hojay aur phir wo kahy ky agar phir may ny ye kam kiya to teesre bar maire shadi jis sy howe us ko 3 talaq. Is tarah wo 100 bar talaq mashroot kary. Ab agar wo shadi karna chahy to kiya kary?

A: Uska hal ye he ke koi doosra shakhs ba ghayr us se daryaaft kiye aur ba ghayr ijaazat liye kisee aurat se nikaah karde uski taraf se uske liye fudhooli ban kar khood hee iejaab wa qubool karle aur usko ittilaa karde ke me ne falaa aurat se tera nikaah kardiya aur itna mahr mu'ajjal deejiye. Uspar woh zubaan se kuch na kahe aur khaamoosh rahe aur matloobah mahr mu'ajjal dede. To ye uski taraf se ijaazat bil fe'l ho jaayegi aur nikaah durust ho jaayega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: